jab mera mahr jalwa-gar hoga
jab mirā mahr jalva-gar hogā
dopahar hogā jo pahar hogā
tum nahīñ karte qatl to na karo
zahr meñ bhī to kuchh asar hogā
o raqīboñ kī raunaq-e-mahfil
is taraf bhī kabhī guzar hogā
hazrat-e-dil mizāj kaisā hai
phir bhī us kūche meñ guzar hogā
kis ko matlab hai be-kasoñ se 'hasan'
kaun merā payām-bar hogā
jab mera mahr jalwa-gar hoga
dopahar hoga jo pahar hoga
tum nahin karte qatl to na karo
zahr mein bhi to kuchh asar hoga
o raqibon ki raunaq-e-mahfil
is taraf bhi kabhi guzar hoga
hazrat-e-dil mizaj kaisa hai
phir bhi us kuche mein guzar hoga
kis ko matlab hai be-kason se 'hasan'
kaun mera payam-bar hoga
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 128)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.