jab mere jazbaat ko chhu kar guzar jati hai raat
jab mere jazbaat ko chhu kar guzar jati hai raat
Sajid Sajni Lakhnawi
MORE BYSajid Sajni Lakhnawi
jab mire jazbāt ko chhū kar guzar jaatī hai raat
aag sī goyā mirī rag rag meñ bhar jaatī hai raat
sab ye kahte haiñ ki bātoñ meñ guzar jaatī hai raat
mujh ko tanhā pā ke jaane kyoñ Thahar jaatī hai raat
jab kabhī apnī zarūrat se nikal jaatī huuñ maiñ
kumba vāloñ meñ mujhe badnām kar jaatī hai raat
sach to ye hai din-dahāḌe jin kā honā hai muhāl
parde parde meñ vo saare kaam kar jaatī hai raat
is nigoḌī kā to duniyā se nirālā hai chalan
phailtī ThanDak se garmī se ThiThur jaatī hai raat
jab mere jazbaat ko chhu kar guzar jati hai raat
aag si goya meri rag rag mein bhar jati hai raat
sab ye kahte hain ki baaton mein guzar jati hai raat
mujh ko tanha pa ke jaane kyon Thahar jati hai raat
jab kabhi apni zarurat se nikal jati hun main
kumba walon mein mujhe badnam kar jati hai raat
sach to ye hai din-dahaDe jin ka hona hai muhaal
parde parde mein wo sare kaam kar jati hai raat
is nigoDi ka to duniya se nirala hai chalan
phailti ThanDak se garmi se ThiThur jati hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.