jab mere nazdik suraj mein kami paida hui
jab mire nazdīk sūraj meñ kamī paidā huī
phir añdheroñ ke shahar meñ raushnī paidā huī
jab sadā-e-kun lagā kar vo zarā fāriġh huā
phir ḳhudā kī shaan meñ ye shā.irī paidā huī
maiñ ne lafzoñ ko pilā.ī hai tirī jhūTī sharāb
tab kahīñ ġhazloñ meñ apnī chāshnī paidā huī
do musāfir phāñd baiThe ajnabiyyat kā mazār
dekhte hī dekhte phir dostī paidā huī
merā rishta kuchh na thā vahshat tire ajdād se
phir mire ghar kyoñ ye lailā sī parī paidā huī
jab mere nazdik suraj mein kami paida hui
phir andheron ke shahar mein raushni paida hui
jab sada-e-kun laga kar wo zara farigh hua
phir KHuda ki shan mein ye shairi paida hui
main ne lafzon ko pilai hai teri jhuTi sharab
tab kahin ghazlon mein apni chashni paida hui
do musafir phand baiThe ajnabiyyat ka mazar
dekhte hi dekhte phir dosti paida hui
mera rishta kuchh na tha wahshat tere ajdad se
phir mere ghar kyon ye laila si pari paida hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.