jab mere shahr ke din-raat suhane honge
jab mire shahr ke din-rāt suhāne hoñge
vaqt kab aa.egā kab aise zamāne hoñge
aaj ke daur meñ jiine kī agar zid hai tumheñ
zindagī ke na.e ādāb banāne hoñge
sirf is shart pe baḳhshī ga.iiñ nīñdeñ mujh ko
jāgtī āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb sajāne hoñge
bhaa.ī ne bhaa.ī ke zaḳhmoñ pe davā rakhī thī
aaj kī baat na kar pichhle zamāne hoñge
zinda rakhnā hai agar zauq-e-shajar-kārī tumheñ
peḌ pathrīlī zamīñ par bhī lagāne hoñge
jaane kis ruḳh se tumheñ apnā samajh le duniyā
apne chehre pe ka.ī chehre chaḌhāne hoñge
ham ne badlī na ravish apnī to sun lo 'shahzar'
apne hī tīroñ ke ham aap nishāne hoñge
jab mere shahr ke din-raat suhane honge
waqt kab aaega kab aise zamane honge
aaj ke daur mein jine ki agar zid hai tumhein
zindagi ke nae aadab banane honge
sirf is shart pe baKHshi gain ninden mujh ko
jagti aankhon mein kuchh KHwab sajaane honge
bhai ne bhai ke zaKHmon pe dawa rakhi thi
aaj ki baat na kar pichhle zamane honge
zinda rakhna hai agar zauq-e-shajar-kari tumhein
peD pathrili zamin par bhi lagane honge
jaane kis ruKH se tumhein apna samajh le duniya
apne chehre pe kai chehre chaDhane honge
hum ne badli na rawish apni to sun lo 'shahzar'
apne hi tiron ke hum aap nishane honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.