jab mere shahr-e-mohabbat mein wo aa jaega
jab mire shahr-e-mohabbat meñ vo aa jā.egā
dil meñ jazboñ kī na.ī jot jagā jā.egā
apne allāh pe har lamha bharosa rakkho
ġham kā tūfān bahar-hāl chalā jā.egā
jis ne paiġhām mohabbat kā diyā duniyā ko
saare 'ālam kā vo mahbūb kahā jā.egā
har ġhalat baat kī tash.hīr na ho pā.egī
sach bahar-hāl sar-e-'ām kahā jā.egā
chand lamhoñ kī mulāqāt kā manzar mat pūchh
kyā ḳhabar thī vo mire dil meñ samā jā.egā
hosh uḌ jā.egā baḌh jā.egī dil kī dhaḌkan
yak-ba-yak jab vo tire sāmne aa jā.egā
tīrgī-e-ġham-e-daurāñ se na ghabrā 'nāzir'
ye añdherā bhī bahut jald chalā jā.egā
jab mere shahr-e-mohabbat mein wo aa jaega
dil mein jazbon ki nai jot jaga jaega
apne allah pe har lamha bharosa rakkho
gham ka tufan bahar-haal chala jaega
jis ne paigham mohabbat ka diya duniya ko
sare 'alam ka wo mahbub kaha jaega
har ghalat baat ki tashhir na ho paegi
sach bahar-haal sar-e-'am kaha jaega
chand lamhon ki mulaqat ka manzar mat puchh
kya KHabar thi wo mere dil mein sama jaega
hosh uD jaega baDh jaegi dil ki dhaDkan
yak-ba-yak jab wo tere samne aa jaega
tirgi-e-gham-e-dauran se na ghabra 'nazir'
ye andhera bhi bahut jald chala jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.