jab mere shahr ki har sham ne dekha usko
jab mire shahr kī har shaam ne dekhā us ko
kyuuñ na phir mere dar-o-bām ne dekhā us ko
harf-dar-harf mire dil meñ utart aayā hai
mujh se pahle mire ilhām ne dekhā us ko
merī āñkhoñ ne to ik baar hī manzar dekhā
phir har ik lamha-e-dushnām ne dekhā us ko
din Dhale ḳhvāb darīche meñ utar aatā hai
jab bhī dekhā hai yahāñ shaam ne dekhā us ko
jaane kis ḳhvāb kī hairat ne jagā.e rakkhā
phir mirī hasrat-e-nākām ne dekhā us ko
jab mere shahr ki har sham ne dekha us ko
kyun na phir mere dar-o-baam ne dekha us ko
harf-dar-harf mere dil mein utart aaya hai
mujh se pahle mere ilham ne dekha us ko
meri aankhon ne to ek bar hi manzar dekha
phir har ek lamha-e-dushnam ne dekha us ko
din Dhale KHwab dariche mein utar aata hai
jab bhi dekha hai yahan sham ne dekha us ko
jaane kis KHwab ki hairat ne jagae rakkha
phir meri hasrat-e-nakaam ne dekha us ko
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 140)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.