jab meri aankh mein lahu utra
jab mirī aañkh meñ lahū utrā
phir tirā aks hū-bahū utrā
daf.atan tujh ko chhat pe dekhā thā
phir maiñ ziine se bā-vazū utrā
din guzārā tire tasavvur meñ
raat ko ḳhvāb meñ bhī tū utrā
ishq ījād ho gayā pahle
aur phir harf-e-ārzū utrā
tere dil se utar gayā huuñ maiñ
mere dil se magar na tū utrā
us ko taktā hī rah gayā 'kāshif'
baam se jab vo māh-rū utrā
jab meri aankh mein lahu utra
phir tera aks hu-bahu utra
dafatan tujh ko chhat pe dekha tha
phir main zine se ba-wazu utra
din guzara tere tasawwur mein
raat ko KHwab mein bhi tu utra
ishq ijad ho gaya pahle
aur phir harf-e-arzu utra
tere dil se utar gaya hun main
mere dil se magar na tu utra
us ko takta hi rah gaya 'kashif'
baam se jab wo mah-ru utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.