jab meri gardan pe usne apna KHanjar rakh diya
jab mirī gardan pe us ne apnā ḳhanjar rakh diyā
log uTThe aur us ke taaj sar par rakh diyā
buuñd hī kaafī thī jab sairāb hone ke liye
ḳhushk hoñToñ par ye tum ne kyoñ samundar rakh diyā
ab bhaTakte phir rahe haiñ rāhat-e-jāñ ke liye
ye kamī apnī hai jo sab kuchh bhulā kar rakh diyā
khā ke Thokar aa gayā ab mujh ko chalne kā hunar
shukriya tum ne jo merī rah meñ patthar rakh diyā
sochtā huuñ mar na jā.ūñ bojh se dab kar kahīñ
aaj ik kam-zarf ne ehsān sar par rakh diyā
tanziya lahje meñ ham se baat mat kiije huzūr
aisā lagtā hai kisī ne dil pe nashtar rakh diyā
jis tarah aḳhbār paḌh ke koī rakh de ik taraf
maiñ ne 'sājid' us tarah duniyā ko paḌh kar rakh diyā
jab meri gardan pe us ne apna KHanjar rakh diya
log uTThe aur us ke taj sar par rakh diya
bund hi kafi thi jab sairab hone ke liye
KHushk honTon par ye tum ne kyon samundar rakh diya
ab bhaTakte phir rahe hain rahat-e-jaan ke liye
ye kami apni hai jo sab kuchh bhula kar rakh diya
kha ke Thokar aa gaya ab mujh ko chalne ka hunar
shukriya tum ne jo meri rah mein patthar rakh diya
sochta hun mar na jaun bojh se dab kar kahin
aaj ek kam-zarf ne ehsan sar par rakh diya
tanziya lahje mein hum se baat mat kije huzur
aisa lagta hai kisi ne dil pe nashtar rakh diya
jis tarah aKHbar paDh ke koi rakh de ek taraf
main ne 'sajid' us tarah duniya ko paDh kar rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.