jab meri samt hasin yaadon ke patthar barse
jab mirī samt hasīñ yādoñ ke patthar barse
ḳhair-maqdam ko chale ashk bhī chashm-e-tar se
yuuñ koī shīsh-mahal kar gayā dil kā vīrāñ
jis tarah chal de koī ruuTh ke apne ghar se
dil meñ yuuñ zehn se dar aatī hai yād-e-māzī
ghar meñ jis tarah se utre koī ziine par se
dil ko iz.hār-e-tamannā kī tamanna thī bahut
lab magar hil na sake ahl-e-jahāñ ke Dar se
tark-e-ulfat kā koī radd-e-amal to dekhe
bolnā chhoḌ diyā maiñ ne zamāne bhar se
dil meñ muddat se mohabbat kī hai jhankār na guuñj
laao is shīshe ko Takrā.eñ kisī patthar se
aaj tak mujh ko bulātī haiñ sadā.eñ us kī
jis ne lauTāyā thā ik din mujhe apne dar se
ye mohabbat kī sazā jaan hī le le na 'zafar'
ham to ik umr se sūrat ko bhī us kī tarse
jab meri samt hasin yaadon ke patthar barse
KHair-maqdam ko chale ashk bhi chashm-e-tar se
yun koi shish-mahal kar gaya dil ka viran
jis tarah chal de koi ruTh ke apne ghar se
dil mein yun zehn se dar aati hai yaad-e-mazi
ghar mein jis tarah se utre koi zine par se
dil ko izhaar-e-tamanna ki tamanna thi bahut
lab magar hil na sake ahl-e-jahan ke Dar se
tark-e-ulfat ka koi radd-e-amal to dekhe
bolna chhoD diya main ne zamane bhar se
dil mein muddat se mohabbat ki hai jhankar na gunj
lao is shishe ko Takraen kisi patthar se
aaj tak mujh ko bulati hain sadaen us ki
jis ne lauTaya tha ek din mujhe apne dar se
ye mohabbat ki saza jaan hi le le na 'zafar'
hum to ek umr se surat ko bhi us ki tarse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.