jab mohabbat ki koi nazm sunai maine
jab mohabbat kī koī nazm sunā.ī maiñ ne
aag bahte hue paanī meñ lagā.ī maiñ ne
vaqt-e-ruḳhsat mirā dil Duub rahā hai lekin
phir bhī āñkhoñ meñ namī aaj na laa.ī maiñ ne
kuchh sila mil nahīñ paayā tire dīvāne ko
shahar kī tere abas ḳhaak uḌaa.ī maiñ ne
yak-ba-yak chār-sū khilne lage tan man meñ gulāb
us kī tasvīr jo siine se lagā.ī maiñ ne
qaid meñ tere maiñ ḳhush-bāsh jiyā kartā thā
is liye to kabhī chāhī na rihā.ī maiñ ne
jab mohabbat ki koi nazm sunai main ne
aag bahte hue pani mein lagai main ne
waqt-e-ruKHsat mera dil Dub raha hai lekin
phir bhi aankhon mein nami aaj na lai main ne
kuchh sila mil nahin paya tere diwane ko
shahar ki tere abas KHak uDai main ne
yak-ba-yak chaar-su khilne lage tan man mein gulab
us ki taswir jo sine se lagai main ne
qaid mein tere main KHush-bash jiya karta tha
is liye to kabhi chahi na rihai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.