jab mujhe gardish-e-dauran ka KHayal aata hai
jab mujhe gardish-e-daurāñ kā ḳhayāl aatā hai
daf.atan umr-e-gurezāñ kā ḳhayāl aatā hai
dast-e-vahshat mirā majbūr nahīñ hai lekin
ismat-e-jaib-o-garebāñ kā ḳhayāl aatā hai
kyā batā.ūñ tujhe ai mahv-e-nashāt-o-ishrat
kyoñ mujhe shām-e-ġharībāñ kā ḳhayāl aatā hai
husn-e-ġhārat-gar-e-tamkīñ se ye kah de koī
phir mujhe chāk-e-garebāñ kā ḳhayāl aatā hai
aur baḌhtī hai matā.a-e-ġham-e-dil kī qīmat
jab ilāj-e-dil-e-sozāñ kā ḳhayāl aatā hai
aa ke ruk jaatī haiñ aaheñ mire lab tak 'sāqib'
jab mujhe husn-e-pashemāñ kā ḳhayāl aatā hai
jab mujhe gardish-e-dauran ka KHayal aata hai
dafatan umr-e-gurezan ka KHayal aata hai
dast-e-wahshat mera majbur nahin hai lekin
ismat-e-jaib-o-gareban ka KHayal aata hai
kya bataun tujhe ai mahw-e-nashat-o-ishrat
kyon mujhe sham-e-ghariban ka KHayal aata hai
husn-e-ghaarat-gar-e-tamkin se ye kah de koi
phir mujhe chaak-e-gareban ka KHayal aata hai
aur baDhti hai mataa-e-gham-e-dil ki qimat
jab ilaj-e-dil-e-sozan ka KHayal aata hai
aa ke ruk jati hain aahen mere lab tak 'saqib'
jab mujhe husn-e-pasheman ka KHayal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.