jab mulaqat karna paDti hai
jab mulāqāt karnā paḌtī hai
tab hameñ raat karnā paḌtī hai
aap jaisoñ ke paas āñkheñ haiñ
hameñ to baat karnā paḌtī hai
vo mohabbat huī thī us ke saath
jo tire saath karnā paḌtī hai
sher kahtā huuñ tere baare meñ
par mujhe na.at karnā paḌtī hai
us ko ghar se nikālne ke liye
rab ko barsāt karnā paḌtī hai
kisī se phir kabhī na milnā ho to
ik mulāqāt karnā paḌtī hai
jab mulaqat karna paDti hai
tab hamein raat karna paDti hai
aap jaison ke pas aankhen hain
hamein to baat karna paDti hai
wo mohabbat hui thi us ke sath
jo tere sath karna paDti hai
sher kahta hun tere bare mein
par mujhe nat karna paDti hai
us ko ghar se nikalne ke liye
rab ko barsat karna paDti hai
kisi se phir kabhi na milna ho to
ek mulaqat karna paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.