jab mushkil haalat lage
jab mushkil hālāt lage
rishte chikne paat lage
sach kahnā bhar kaam mirā
lagtī ho gar baat lage
merā dil tārīf tirī?
ye to bhītar-ghāt lage
dil kī baazī yaar ajab
jīteñ bhī to maat lage
bātoñ bhar garmī thī bahut
ThanDe par jazbāt lage
dil thoḌī hai, chāñd hai vo
lauT aa.egā raat lage
merā hāfiz aap ḳhudā
phir kis kī auqāt lage
jab mushkil haalat lage
rishte chikne pat lage
sach kahna bhar kaam mera
lagti ho gar baat lage
mera dil tarif tiri?
ye to bhitar-ghat lage
dil ki bazi yar ajab
jiten bhi to mat lage
baaton bhar garmi thi bahut
ThanDe par jazbaat lage
dil thoDi hai, chand hai wo
lauT aaega raat lage
mera hafiz aap KHuda
phir kis ki auqat lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.