jab na aaen nazar hazaron mein
jab na aa.eñ nazar hazāroñ meñ
DhūñDh lenā hameñ sitāroñ meñ
ḳhair tum ne bhī dil dukhā hī diyā
tum ko rakkhā thā ġhamgusāroñ meñ
terī tasvīr ġharq hotī hai
roz āñkhoñ ke ābshāroñ meñ
nāḳhudā baḌh chalo bhañvar kī samt
kyā hī rakkhā hai in kināroñ meñ
un kī āñkhoñ meñ ġhaur se dekho
kitnī ujlat hai be-sahāroñ meñ
baa'd muddat ke baam par aa kar
kho ga.e aaj chāñd-tāroñ meñ
aaj to 'andalīb' apnā bhī
dil nahīñ lag rahā bahāroñ meñ
jab na aaen nazar hazaron mein
DhunDh lena hamein sitaron mein
KHair tum ne bhi dil dukha hi diya
tum ko rakkha tha ghamgusaron mein
teri taswir gharq hoti hai
roz aankhon ke aabshaaron mein
naKHuda baDh chalo bhanwar ki samt
kya hi rakkha hai in kinaron mein
un ki aankhon mein ghaur se dekho
kitni ujlat hai be-sahaaron mein
ba'd muddat ke baam par aa kar
kho gae aaj chand-taron mein
aaj to 'andalib' apna bhi
dil nahin lag raha bahaaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.