jab na koi bhi aasra hoga
jab na koī bhī aasrā hogā
jaan bhī deñge ham to kyā hogā
kal bhī jo yaad aa.egī kal kī
phir koī hashr dūsrā hogā
sub.h-e-āriz kā dil-nashīñ manzar
phuul shāyad koī khilā hogā
koī rasta nazar nahīñ aatā
sāmne koī aa gayā hogā
aa ga.e ho to ho gayā kyā kyā
jāoge tum to jaane kyā hogā
kal kā va.ada to ik qayāmat hai
gar qayāmat na ho to kyā hogā
kaun 'rāzī' se hogā nā-vāqif
har bashar un ko jāntā hogā
jab na koi bhi aasra hoga
jaan bhi denge hum to kya hoga
kal bhi jo yaad aaegi kal ki
phir koi hashr dusra hoga
subh-e-ariz ka dil-nashin manzar
phul shayad koi khila hoga
koi rasta nazar nahin aata
samne koi aa gaya hoga
aa gae ho to ho gaya kya kya
jaoge tum to jaane kya hoga
kal ka wada to ek qayamat hai
gar qayamat na ho to kya hoga
kaun 'raazi' se hoga na-waqif
har bashar un ko jaanta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.