jab na tha ishq ye azab na tha
jab na thā ishq ye azaab na thā
ātish-e-ġham se dil kabāb na thā
jin dinoñ ġhair bāryāb na thā
maiñ vahāñ maurid-e-itāb na thā
jab ki vo umr the shabāb na thā
ye naqāb aur ye hijāb na thā
vo ḳhafā ho ke ho ga.e ḳhāmosh
yā mirī baat kā javāb na thā
na rahā dil paḌī jo us pe nigāh
mauj ke aate hī habāb na thā
tere jāñ-bāz kī dilerī vaah
tah-e-ḳhanjar bhī iztirāb na thā
ḳhair guzrī jo mohtasib aaya
sāmne sāġhar-e-sharāb na thā
soz-e-ġham dūd-e-āh sail-e-sarishk
hijr meñ kaun sā azaab na thā
lab-e-dariyā thā sair ke qābil
kyā mirā dīda-e-pur-āb na thā
dil meñ thā valvaloñ kā josh-o-ḳharosh
ek tūfān thā shabāb na thā
aaj hī kyā nayā hai soz-e-jigar
kyā kaleja mirā kabāb na thā
sair ko nikle vo jo ġhair ke saath
kaun sā fitna ham-rikāb na thā
kyā sañbhaltā bigaḌ kar apnā haal
kuchh zamāne kā inqalāb na thā
us kī mahfil meñ shab ko sab the 'ḳhayāl'
sirf ik maiñ hī bāryāb na thā
jab na tha ishq ye azab na tha
aatish-e-gham se dil kabab na tha
jin dinon ghair baryab na tha
main wahan maurid-e-itab na tha
jab ki wo umr the shabab na tha
ye naqab aur ye hijab na tha
wo KHafa ho ke ho gae KHamosh
ya meri baat ka jawab na tha
na raha dil paDi jo us pe nigah
mauj ke aate hi habab na tha
tere jaan-baz ki dileri wah
tah-e-KHanjar bhi iztirab na tha
KHair guzri jo mohtasib aaya
samne saghar-e-sharab na tha
soz-e-gham dud-e-ah sail-e-sarishk
hijr mein kaun sa azab na tha
lab-e-dariya tha sair ke qabil
kya mera dida-e-pur-ab na tha
dil mein tha walwalon ka josh-o-KHarosh
ek tufan tha shabab na tha
aaj hi kya naya hai soz-e-jigar
kya kaleja mera kabab na tha
sair ko nikle wo jo ghair ke sath
kaun sa fitna ham-rikab na tha
kya sanbhalta bigaD kar apna haal
kuchh zamane ka inqalab na tha
us ki mahfil mein shab ko sab the 'KHayal'
sirf ek main hi baryab na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.