jab nazar aae wo mujhko bar-e-digar
jab nazar aae wo mujhko bar-e-digar
Ghulam Mustafa Beg Sabir Barari
MORE BYGhulam Mustafa Beg Sabir Barari
jab nazar aa.e vo mujh ko bār-e-digar
mo'atabar ho ga.ī aur tāb-e-nazar
kyoñ na milne lage phir tumhārī ḳhabar
merā zauq-e-tajassus hai me.arāj par
āgahī mujh ko hogī mire haal se
tabsira jab karegī tumhārī nazar
sirf apne hī ġham tak jo mahdūd ho
bhejtā huuñ maiñ la.anat us ehsās par
fikr-e-anjām to baad kī baat hai
ho nazar pahle markūz āġhāz par
azm-o-himmat ko us vaqt āvāz de
jab nazar aa.e 'sābir' rah-e-pur-ḳhatar
jab nazar aae wo mujh ko bar-e-digar
mo'atabar ho gai aur tab-e-nazar
kyon na milne lage phir tumhaari KHabar
mera zauq-e-tajassus hai mearaj par
aagahi mujh ko hogi mere haal se
tabsira jab karegi tumhaari nazar
sirf apne hi gham tak jo mahdud ho
bhejta hun main lanat us ehsas par
fikr-e-anjam to baad ki baat hai
ho nazar pahle markuz aaghaz par
azm-o-himmat ko us waqt aawaz de
jab nazar aae 'sabir' rah-e-pur-KHatar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.