jab nazar jān0b-e-asbāb-e-fanā karte haiñ
pahle ham apnī taraf dekh liyā karte haiñ
jin ko hai tauq-o-salāsil ke taqāzoñ kā shu'ūr
vahī pābandi-e-ā.īn-e-vafā karte haiñ
kaash ham ko bhī batā deñ ye batāne vaale
choT lagtī hai koī dil pe to kyā karte haiñ
tarjumānī kā vasīla to haiñ dar-asl ye ashk
dil ke matlab ko ham āñkhoñ se adā karte haiñ
tuhmat-e-'ishq kahāñ aur kahāñ ye mā'sūm
muft badnām 'munavvar' ko kiyā karte haiñ
jab nazar jaan0b-e-asbab-e-fana karte hain
pahle hum apni taraf dekh liya karte hain
jin ko hai tauq-o-salasil ke taqazon ka shu'ur
wahi pabandi-e-ain-e-wafa karte hain
kash hum ko bhi bata den ye batane wale
choT lagti hai koi dil pe to kya karte hain
tarjumani ka wasila to hain dar-asl ye ashk
dil ke matlab ko hum aankhon se ada karte hain
tuhmat-e-'ishq kahan aur kahan ye ma'sum
muft badnam 'munawwar' ko kiya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.