jab nazar usne milai hogi
jab nazar us ne milā.ī hogī
lab pe aalam ke duhā.ī hogī
un kī be-vaj.h burā.ī hogī
muñh se niklī to parā.ī hogī
vo mujhe dekhne aate hamdam
tū ne kuchh baat banā.ī hogī
māñgtā huuñ jo duā-e-vahshat
hasrat-e-ābla-pā.ī hogī
ishq meñ aur dil-e-zār kī qadr
zabt ne baat baḌhā.ī hogī
aa.e din kī to ye ranjish Thahrī
kis tarah un se safā.ī hogī
dil 'rashīd' un se lagāyā bhī to kyā
na burā.ī na bhalā.ī hogī
jab nazar us ne milai hogi
lab pe aalam ke duhai hogi
un ki be-wajh burai hogi
munh se nikli to parai hogi
wo mujhe dekhne aate hamdam
tu ne kuchh baat banai hogi
mangta hun jo dua-e-wahshat
hasrat-e-abla-pai hogi
ishq mein aur dil-e-zar ki qadr
zabt ne baat baDhai hogi
aae din ki to ye ranjish Thahri
kis tarah un se safai hogi
dil 'rashid' un se lagaya bhi to kya
na burai na bhalai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.