jab nigahon ke ishaare raqs karte hain
jab nigāhoñ ke ishāre raqs karte haiñ
tab diloñ meñ bhī sharāre raqs karte haiñ
āshiqī meñ sab bichāre raqs karte haiñ
ishq meñ barbād saare raqs karte haiñ
vasl kī us ik ghaḌī ke jashn meñ aksar
āsmāñ par sab sitāre raqs karte haiñ
rāste se jab bhī guzre yaar merā tab
mere ghar ke sab manāre raqs karte haiñ
Dūbtī kashtī kabhī jab paar hotī hai
saath lahroñ ke kināre raqs karte haiñ
tujh ko dekheñ ham 'tabassum' yā inheñ dekheñ
dekh kar tujh ko nazāre raqs karte haiñ
jab nigahon ke ishaare raqs karte hain
tab dilon mein bhi sharare raqs karte hain
aashiqi mein sab bichaare raqs karte hain
ishq mein barbaad sare raqs karte hain
wasl ki us ek ghaDi ke jashn mein aksar
aasman par sab sitare raqs karte hain
raste se jab bhi guzre yar mera tab
mere ghar ke sab manare raqs karte hain
Dubti kashti kabhi jab par hoti hai
sath lahron ke kinare raqs karte hain
tujh ko dekhen hum 'tabassum' ya inhen dekhen
dekh kar tujh ko nazare raqs karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.