jab nigahon mein tha KHuda raushan
jab nigāhoñ meñ thā ḳhudā raushan
thī falak-dar-falak duā raushan
apnā apnā surāġh pā lenā
duur tak hai mirī navā raushan
hai abhī tak lahū meñ sannāTā
jaane kab hogī iltijā raushan
chhup gayā chāñd bujh ga.e taare
is qadar raat dil huā raushan
raah taknā hī jab muqaddar hai
aao 'sājid' kareñ sadā raushan
jab nigahon mein tha KHuda raushan
thi falak-dar-falak dua raushan
apna apna suragh pa lena
dur tak hai meri nawa raushan
hai abhi tak lahu mein sannaTa
jaane kab hogi iltija raushan
chhup gaya chand bujh gae tare
is qadar raat dil hua raushan
rah takna hi jab muqaddar hai
aao 'sajid' karen sada raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.