jab parda-e-majaz haqiqat-numa bana
jab parda-e-majāz haqīqat-numā banā
har zarra apnī apnī jagah aa.ina banā
rif.at meñ ḳhāk-e-dair-o-haram se sivā banā
vo āstāñ jo qibla-e-ahl-e-vafā banā
naġhma bahār abr shafaq phuul chāñdnī
sab jam.a ho ga.e to sarāpā tirā banā
sunte hī chauñk chauñk uThe ahl-e-kārvāñ
naala ye kis kā thā jo sadā-e-darā banā
uljhā huā hai mas.ala-e-zindagī meñ ishq
ik dard-e-sar ye ban ke rahā aur kyā banā
dil chal paḌā thā rāh-e-mohabbat meñ be-dareġh
manzil tak us ġharīb kā kyā jaane kyā banā
kyā baat hai ki ishq ko rakhte haiñ log naam
ye ishq hī to hāsil-e-har-mudda.ā banā
ai jaur-e-dost terī ināyat kā shukriya
jo dard tū ne baḳhsh diyā vo davā banā
ta.amīr kar rahe the ḳhayāloñ kā ham mahal
apnā hī ghar bigāḌ liyā aur kyā banā
allah re mo.ajiza dil-e-āshiq ke ḳhuun kā
hāthoñ tak un ke jaate hī rang-e-hinā banā
vo vasvasa jo dil meñ uThā avval-e-safar
kāñTā qadam qadam pe vahī raah kā banā
vāmāñdgī-e-āshiq-e-māyūs al-amān
baiThā huā hai raah meñ ik naqsh-e-pā banā
'muslim' jhukā.e jā ke kahāñ gardan-e-niyāz
har but ba-zom-e-ḳhvesh hai goyā ḳhudā banā
jab parda-e-majaz haqiqat-numa bana
har zarra apni apni jagah aaina bana
rifat mein KHak-e-dair-o-haram se siwa bana
wo aastan jo qibla-e-ahl-e-wafa bana
naghma bahaar abr shafaq phul chandni
sab jama ho gae to sarapa tera bana
sunte hi chaunk chaunk uThe ahl-e-karwan
nala ye kis ka tha jo sada-e-dara bana
uljha hua hai masala-e-zindagi mein ishq
ek dard-e-sar ye ban ke raha aur kya bana
dil chal paDa tha rah-e-mohabbat mein be-daregh
manzil tak us gharib ka kya jaane kya bana
kya baat hai ki ishq ko rakhte hain log nam
ye ishq hi to hasil-e-har-muddaa bana
ai jaur-e-dost teri inayat ka shukriya
jo dard tu ne baKHsh diya wo dawa bana
tamir kar rahe the KHayalon ka hum mahal
apna hi ghar bigaD liya aur kya bana
allah re moajiza dil-e-ashiq ke KHun ka
hathon tak un ke jate hi rang-e-hina bana
wo waswasa jo dil mein uTha awwal-e-safar
kanTa qadam qadam pe wahi rah ka bana
wamandgi-e-ashiq-e-mayus al-aman
baiTha hua hai rah mein ek naqsh-e-pa bana
'muslim' jhukae ja ke kahan gardan-e-niyaz
har but ba-zom-e-KHwesh hai goya KHuda bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.