jab parinde daraKHton se jaane lage
jab parinde daraḳhtoñ se jaane lage
ham na.e mausamoñ ko bulāne lage
rāste meñ kahīñ raushnī rah ga.ī
shaam hī se añdhere Darāne lage
apnā chehra hī dekhā nahīñ ḳhauf se
nit na.e aa.ine jagmagāne lage
ab nafas meñ harārat hī baaqī nahīñ
zehn meñ vasvase sarsarāne lage
māñgte haiñ lahū imtihāñ ke liye
log yuuñ bhī hameñ āzmāne lage
sub.h ham se shagufta-labī chhin ga.ī
raat meñ vāqiye sab fasāne lage
jab parinde daraKHton se jaane lage
hum nae mausamon ko bulane lage
raste mein kahin raushni rah gai
sham hi se andhere Darane lage
apna chehra hi dekha nahin KHauf se
nit nae aaine jagmagane lage
ab nafas mein hararat hi baqi nahin
zehn mein waswase sarsarane lage
mangte hain lahu imtihan ke liye
log yun bhi hamein aazmane lage
subh hum se shagufta-labi chhin gai
raat mein waqiye sab fasane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.