jab peDon ki KHidmat par mamur tha main
jab peDon ki KHidmat par mamur tha main
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
jab peḌoñ kī ḳhidmat par māmūr thā maiñ
'jāmī' puure jangal meñ mash.hūr thā maiñ
mujhe ḳhabar hai kyā kuchh hai buniyādoñ meñ
terī bastī kā pahlā mazdūr thā maiñ
kuchh na kuchh to fāsla thā jo maapā gayā
chāhe paas thā chāhe tujh se duur thā maiñ
ek sunahre nuur ne mujh meñ rang bhare
mujh meñ koī rang na thā be-nūr thā maiñ
soch rahā huuñ kitnā raushan manzar thā
tū zākir thā aur jahāñ mazkūr thā maiñ
sar pe jab tak maañ kā dast-e-shafqat thā
rab shāhid hai har ik dukh se duur thā maiñ
terī ek nazar se maiñ tabdīl huā
ishq se pahle had-darja maġhrūr thā maiñ
jab peDon ki KHidmat par mamur tha main
'jami' pure jangal mein mashhur tha main
mujhe KHabar hai kya kuchh hai buniyaadon mein
teri basti ka pahla mazdur tha main
kuchh na kuchh to fasla tha jo mapa gaya
chahe pas tha chahe tujh se dur tha main
ek sunahre nur ne mujh mein rang bhare
mujh mein koi rang na tha be-nur tha main
soch raha hun kitna raushan manzar tha
tu zakir tha aur jahan mazkur tha main
sar pe jab tak man ka dast-e-shafqat tha
rab shahid hai har ek dukh se dur tha main
teri ek nazar se main tabdil hua
ishq se pahle had-darja maghrur tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.