jab phail ke viranon se virane milenge
jab phail ke vīrānoñ se vīrāne mileñge
dil khol ke dīvānoñ se dīvāne mileñge
ai kū-e-ḳhamoshī kī taraf bhāgne vaalo
har gaam pe afsāne hī afsāne mileñge
zanjīr liye hāthoñ meñ kuchh soch rahe haiñ
zindāñ meñ bahut aise bhī dīvāne mileñge
jo garmī-e-mahfil se jalā lete haiñ sham.eñ
parvānoñ meñ kuchh aise bhī parvāne mileñge
haañ dekh zarā phail ke ai tishnagī-e-shauq
har jaam meñ simTe hue mai-ḳhāne mileñge
jab phail ke viranon se virane milenge
dil khol ke diwanon se diwane milenge
ai ku-e-KHamoshi ki taraf bhagne walo
har gam pe afsane hi afsane milenge
zanjir liye hathon mein kuchh soch rahe hain
zindan mein bahut aise bhi diwane milenge
jo garmi-e-mahfil se jala lete hain shamen
parwanon mein kuchh aise bhi parwane milenge
han dekh zara phail ke ai tishnagi-e-shauq
har jam mein simTe hue mai-KHane milenge
- Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 75)
- Author : Aizaz Afzal
- Publication : Usmania Book Depot
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.