jab phul chubhe dil mein tab Khaar ko kya kahiye
jab phuul chubhe dil meñ tab ḳhaar ko kyā kahiye
marham ne kiyā zaḳhmī talvār ko kyā kahiye
hamdard nigāhoñ ne dil aur bhī taḌpāyā
darmāñ ne ġhazab Dhāyā āzār ko kyā kahiye
iz.hār-e-tamannā par mub.ham sī nigāhoñ ke
iqrār ko kyā kahiye inkār ko kyā kahiye
aalam jo tirā dekhā nāseh bhī huā shaidā
dīvāna to dīvāna hushiyār ko kyā kahiye
tadbīr kā hai dushman taqdīr kā barham-zan
is dard-e-mohabbat ke āzār ko kyā kahiye
is fitna-e-daurāñ kī jo baat hai aafat hai
raftār ko kyā kahiye guftār ko kyā kahiye
un shoḳh nigāhoñ kā har vaar qayāmat hai
is vaar ko kyā kahiye us vaar ko kyā kahiye
ghanghor ghaTāoñ kā unvān-e-karam tauba
zāhid bhī bahaktā hai mai-ḳhvār ko kyā kahiye
maḳhmūr nigāhoñ kī allāh re mai-rezī
hushiyār bhī hai be-ḳhud sarshār ko kyā kahiye
āzār-e-mohabbat kī duniyā hai ajab duniyā
achchhā bhī nahīñ achchhā bīmār ko kyā kahiye
dil chhīn ke ġham baḳhshā sar le ke diyā saudā
is husn-o-mohabbat kī sarkār ko kyā kahiye
har rāz-e-nihāñ āḳhir ġhammāz se kah Daalā
ḳhāmosh nigāhoñ kī guftār ko kyā kahiye
tā-mai-kada rindoñ meñ jo dast-ba-dast aa.e
us jubbe ko kyā kahiye dastār ko kyā kahiye
duniyā kī nazar meñ tum ma.asūm sahī lekin
paimān-e-mohabbat se inkār ko kyā kahiye
hai us kī javānī par ḳhud vajd javānī ko
mai aap bahaktī hai mai-ḳhvār ko kyā kahiye
in ishva-tarāzoñ kā un mast-ḳhirāmoñ kā
ruknā bhī qayāmat hai raftār ko kyā kahiye
tauba kā bharam rakhnā īmāñ thā 'sarosh' apnā
saaqī kī nigāhoñ ke isrār ko kyā kahiye
jab phul chubhe dil mein tab KHar ko kya kahiye
marham ne kiya zaKHmi talwar ko kya kahiye
hamdard nigahon ne dil aur bhi taDpaya
darman ne ghazab Dhaya aazar ko kya kahiye
izhaar-e-tamanna par mubham si nigahon ke
iqrar ko kya kahiye inkar ko kya kahiye
aalam jo tera dekha naseh bhi hua shaida
diwana to diwana hushiyar ko kya kahiye
tadbir ka hai dushman taqdir ka barham-zan
is dard-e-mohabbat ke aazar ko kya kahiye
is fitna-e-dauran ki jo baat hai aafat hai
raftar ko kya kahiye guftar ko kya kahiye
un shoKH nigahon ka har war qayamat hai
is war ko kya kahiye us war ko kya kahiye
ghanghor ghaTaon ka unwan-e-karam tauba
zahid bhi bahakta hai mai-KHwar ko kya kahiye
maKHmur nigahon ki allah re mai-rezi
hushiyar bhi hai be-KHud sarshaar ko kya kahiye
aazar-e-mohabbat ki duniya hai ajab duniya
achchha bhi nahin achchha bimar ko kya kahiye
dil chhin ke gham baKHsha sar le ke diya sauda
is husn-o-mohabbat ki sarkar ko kya kahiye
har raaz-e-nihan aaKHir ghammaz se kah Dala
KHamosh nigahon ki guftar ko kya kahiye
ta-mai-kada rindon mein jo dast-ba-dast aae
us jubbe ko kya kahiye dastar ko kya kahiye
duniya ki nazar mein tum masum sahi lekin
paiman-e-mohabbat se inkar ko kya kahiye
hai us ki jawani par KHud wajd jawani ko
mai aap bahakti hai mai-KHwar ko kya kahiye
in ishwa-taraazon ka un mast-KHiramon ka
rukna bhi qayamat hai raftar ko kya kahiye
tauba ka bharam rakhna iman tha 'sarosh' apna
saqi ki nigahon ke israr ko kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.