jab piyārā gila sunātā hai
ishq taaza badan meñ aatā hai
hosh jaatā hai sar suuñ sab yak baar
jab ghuñghaT khol mukh dikhātā hai
tab adū dekh kar mujhe merā
maar ke misl pech khātā hai
ḳhaak hotā hai balki jal us vaqt
mujh ko ḳhalvat meñ jab bulātā hai
mujh ko le jā pyaas apas ghar meñ
bāda-e-vasl phir pilātā hai
kar majāzī meñ fan haqīqat kā
hāsidāñ ke dilāñ jalātā hai
sher terā ajab 'alīmullāh'
sho.ala-e-ishq ko chatātā hai
jab piyara gila sunata hai
ishq taza badan mein aata hai
hosh jata hai sar sun sab yak bar
jab ghunghaT khol mukh dikhata hai
tab adu dekh kar mujhe mera
mar ke misl pech khata hai
KHak hota hai balki jal us waqt
mujh ko KHalwat mein jab bulata hai
mujh ko le ja pyas apas ghar mein
baada-e-wasl phir pilata hai
kar majazi mein fan haqiqat ka
hasidan ke dilan jalata hai
sher tera ajab 'alimullah'
shoala-e-ishq ko chatata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.