jab pukara hai tujhe apni sada aai hai
jab pukārā hai tujhe apnī sadā aa.ī hai
dil kī dīvār se lipTī huī tanhā.ī hai
kaash hotā koī ashkoñ kā parakhne vaalā
aañkh us bazm se ik jins-e-girāñ laa.ī hai
mujh ko hairat hai zarā bhī tujhe ehsās nahīñ
merī rusvā.ī meñ bhī to tirī rusvā.ī hai
mashvara tark-e-ta'alluq kā kise dete ho
ham ne to 'ishq meñ marne kī qasam khaa.ī hai
jab pukara hai tujhe apni sada aai hai
dil ki diwar se lipTi hui tanhai hai
kash hota koi ashkon ka parakhne wala
aankh us bazm se ek jins-e-giran lai hai
mujh ko hairat hai zara bhi tujhe ehsas nahin
meri ruswai mein bhi to teri ruswai hai
mashwara tark-e-ta'alluq ka kise dete ho
hum ne to 'ishq mein marne ki qasam khai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.