jab purab mein nil ambar par ek kafuri phul khila
jab purab mein nil ambar par ek kafuri phul khila
Krishna Kumar Toor
MORE BYKrishna Kumar Toor
jab pūrab meñ niil ambar par ik kafūrī phuul khilā
raat guzarne ke ġham meñ tāroñ ne hiirā chaaT liyā
lok parlok pe phail rahī hai yādoñ kī chanchal ḳhushbū
dhyān ke Thahre sāgar meñ kis ne phir kañkar pheñk diyā
us ke narm madhur boloñ ne dil par chhāvnī chhā.ī thī
yā taptī sūkhī dhartī par chhājoñ hī meñh barsā thā
jal vahī hai amrit jal jis se janm janm kī pyaas bujhe
chāhe vo pachchhim kā 'thames' ho chāhe vo pūrab kī gañgā
kyā jaane kyā baat thī lekin ham jab pahlī baar mile
vo bhī khaḌī rahī gum-sum sī aur maiñ bhī chup chaap rahā
jab bhī 'tūr' use DhūñDne ko gahre banoñ meñ jaatā huuñ
ik āvāz ye kahtī hai mujh se mūrakh ghar ko vāpas jā
jab purab mein nil ambar par ek kafuri phul khila
raat guzarne ke gham mein taron ne hira chaT liya
lok parlok pe phail rahi hai yaadon ki chanchal KHushbu
dhyan ke Thahre sagar mein kis ne phir kankar phenk diya
us ke narm madhur bolon ne dil par chhawni chhai thi
ya tapti sukhi dharti par chhajon hi meinh barsa tha
jal wahi hai amrit jal jis se janm janm ki pyas bujhe
chahe wo pachchhim ka 'thames' ho chahe wo purab ki ganga
kya jaane kya baat thi lekin hum jab pahli bar mile
wo bhi khaDi rahi gum-sum si aur main bhi chup chap raha
jab bhi 'tur' use DhunDne ko gahre banon mein jata hun
ek aawaz ye kahti hai mujh se murakh ghar ko wapas ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.