jab qafila yaadon ka guzra to faza mahki
jab qāfila yādoñ kā guzrā to fazā mahkī
mahsūs huā tere qadmoñ kī sadā mahkī
ḳhvāboñ meñ liye ham ne bose tire bāloñ ke
jab hijr kī rātoñ meñ sāvan kī ghaTā mahkī
māñgī jo duā ham ne us shoḳh se milne kī
lobān kī ḳhushbū se baḌh kar vo duā mahkī
ik narm se jhoñke kī nāzuk sī sharārat se
kyā kyā na huī rusvā Daalī jo zarā mahkī
dīvāna huuñ āshiq huuñ āvāra huuñ mai-kash huuñ
ilzām ka.ī aa.e jab laġhzish-e-pā mahkī
jab qafila yaadon ka guzra to faza mahki
mahsus hua tere qadmon ki sada mahki
KHwabon mein liye hum ne bose tere baalon ke
jab hijr ki raaton mein sawan ki ghaTa mahki
mangi jo dua hum ne us shoKH se milne ki
loban ki KHushbu se baDh kar wo dua mahki
ek narm se jhonke ki nazuk si shararat se
kya kya na hui ruswa Dali jo zara mahki
diwana hun aashiq hun aawara hun mai-kash hun
ilzam kai aae jab laghzish-e-pa mahki
- Book : Tarkash (Pg. 17)
- Author : Shakeel Gwaliory
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.