Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDa ho mushkil mein

Jaimini Sarshar

jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDa ho mushkil mein

Jaimini Sarshar

MORE BYJaimini Sarshar

    jab qaum par aafat aa.ī ho jab mulk paḌā ho mushkil meñ

    insān vo kyā mar miTne ehsās na ho jis ke dil meñ

    hañsne tarīqa paidā kar rone salīqa paidā kar

    hañs phuul sūrat gulshan meñ ro sham.a sūrat mahfil meñ

    qātil ke dil kamzorī ne saarā kaam bigāḌ diyā

    ham tishna-e-shauq-e-shahādat the ḳhanjar bhī thā dast-e-qātil meñ

    mahfil mahfil behis hai taarī hai jumūd insānoñ par

    uTh soz aalam barpā kar aur aag lagā de har dil meñ

    har qatra dariyā banñe ko betāb dikhā.ī detā hai

    har mauj-e-ravāñ bechain nazar aatī hai firāq-e-sāhil meñ

    'sarshār' vo kyūñkar kahte haiñ ham qaum o vatan ke ḳhādim haiñ

    Daale na ga.e jo zindāñ meñ jakḌe na ga.e jo salāsil meñ

    jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDa ho mushkil mein

    insan wo kya mar miTne ka ehsas na ho jis ke dil mein

    hansne ka tariqa paida kar rone ka saliqa paida kar

    hans phul ki surat gulshan mein ro shama ki surat mahfil mein

    qatil ke dil ki kamzori ne sara kaam bigaD diya

    hum tishna-e-shauq-e-shahadat the KHanjar bhi tha dast-e-qatil mein

    mahfil ki mahfil behis hai tari hai jumud insanon par

    uTh soz ka aalam barpa kar aur aag laga de har dil mein

    har qatra dariya banne ko betab dikhai deta hai

    har mauj-e-rawan bechain nazar aati hai firaq-e-sahil mein

    'sarshaar' wo kyunkar kahte hain hum qaum o watan ke KHadim hain

    Dale na gae jo zindan mein jakDe na gae jo salasil mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now