jab rabta qalam ka rawani mein aaega
jab rābta qalam kā ravānī meñ aa.egā
kirdār ḳhud ubhar ke kahānī meñ aa.egā
barsāt chhat ke rāste ghar meñ utar ga.ī
sūraj bhī ab to Duub ke paanī meñ aa.egā
bachpan to lā-shu.ūr hai hañs kar guzār de
lutf-e-ġham-e-hayāt javānī meñ aa.egā
pahlū badal rahe haiñ abhī se vo is liye
un kā bhī zikr merī kahānī meñ aa.egā
tum dekh to rahe ho mujhe iltifāt se
lagtā hai koī zaḳhm nishānī meñ aa.egā
aane se gar gurez hai tasvīr bhej de
chehra to us kā yād-dahānī meñ aa.egā
darvāze band kījiye āñkhoñ ke ab 'asar'
ab kaun bhīgtā huā paanī meñ aa.egā
jab rabta qalam ka rawani mein aaega
kirdar KHud ubhar ke kahani mein aaega
barsat chhat ke raste ghar mein utar gai
suraj bhi ab to Dub ke pani mein aaega
bachpan to la-shuur hai hans kar guzar de
lutf-e-gham-e-hayat jawani mein aaega
pahlu badal rahe hain abhi se wo is liye
un ka bhi zikr meri kahani mein aaega
tum dekh to rahe ho mujhe iltifat se
lagta hai koi zaKHm nishani mein aaega
aane se gar gurez hai taswir bhej de
chehra to us ka yaad-dahani mein aaega
darwaze band kijiye aankhon ke ab 'asar'
ab kaun bhigta hua pani mein aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.