jab rakhe panw usne pani mein
jab rakhe paañv us ne paanī meñ
aa ga.ī mauj bhī ravānī meñ
saare mazmūn the balāġhat ke
ek kamsin kī be-zabānī meñ
ik nayā zā.iqa janam legā
pyaas dekho milā ke paanī meñ
ġham na dekhā koī buḌhāpe kā
mar ga.e shukr hai javānī meñ
aaj rūThī hai sāñvlī mujh se
kah diyā jaane kyā ravānī meñ
jab rakhe panw us ne pani mein
aa gai mauj bhi rawani mein
sare mazmun the balaghat ke
ek kamsin ki be-zabani mein
ek naya zaiqa janam lega
pyas dekho mila ke pani mein
gham na dekha koi buDhape ka
mar gae shukr hai jawani mein
aaj ruThi hai sanwli mujh se
kah diya jaane kya rawani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.