jab rasm zamane ki nibhai gai hogi
jab rasm zamāne kī nibhā.ī ga.ī hogī
tab jā ke kahīñ Dolī uThā.ī ga.ī hogī
jaan apnī bilā-vaj.h gañvātā nahīñ koī
sasurāl meñ bad-baḳht satā.ī ga.ī hogī
afsurda sā manzar hai tire shahr meñ har samt
mayyat kisī shā'ir kī uThā.ī ga.ī hogī
kyoñ ahl-e-ḳhirad shahr ke nārāz bahut haiñ
mahfil meñ mirī baat chalā.ī ga.ī hogī
jin khetoñ meñ sar kaaT ke boyā gayā hogā
sabzī unhīñ khetoñ meñ ugaa.ī ga.ī hogī
is tarh koī jhuk ke kahāñ miltā hai 'kausar'
bachpan se hī tahzīb sikhā.ī ga.ī hogī
jab rasm zamane ki nibhai gai hogi
tab ja ke kahin Doli uThai gai hogi
jaan apni bila-wajh ganwata nahin koi
sasural mein bad-baKHt satai gai hogi
afsurda sa manzar hai tere shahr mein har samt
mayyat kisi sha'ir ki uThai gai hogi
kyon ahl-e-KHirad shahr ke naraaz bahut hain
mahfil mein meri baat chalai gai hogi
jin kheton mein sar kaT ke boya gaya hoga
sabzi unhin kheton mein ugai gai hogi
is tarh koi jhuk ke kahan milta hai 'kausar'
bachpan se hi tahzib sikhai gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.