jab raston se ishq-e-kaamil hota hai
jab rastoñ se ishq-e-kāmil hotā hai
tab banda nazdīk-e-manzil hotā hai
hamdardī hai dil meñ to phir raah dikhā
bas tanqīdoñ se kyā hāsil hotā hai
haq kī bāteñ us kī samajh meñ aatī haiñ
jis bande ke siine meñ dil hotā hai
rishtoñ se samjhauta karnā paḌtā hai
varna kaun kisī ke qābil hotā hai
hairat hai vo jis ko ham se rabt nahīñ
dil bhī us kī jānib maa.il hotā hai
aaj kahāñ insāf kā mandir miltā hai
aaj kahāñ qaazī hī aadil hotā hai
ḳhud se to namrūd nahīñ bantā koī
asal meñ puurā shahar hī bābul hotā hai
ham ko to hañsne kī aadat hai varna
muskānoñ meñ dard bhī shāmil hotā hai
'haidar' dil meñ basne vaalā hī aksar
dil ke armānoñ kā qātil hotā hai
jab raston se ishq-e-kaamil hota hai
tab banda nazdik-e-manzil hota hai
hamdardi hai dil mein to phir rah dikha
bas tanqidon se kya hasil hota hai
haq ki baaten us ki samajh mein aati hain
jis bande ke sine mein dil hota hai
rishton se samjhauta karna paDta hai
warna kaun kisi ke qabil hota hai
hairat hai wo jis ko hum se rabt nahin
dil bhi us ki jaanib mail hota hai
aaj kahan insaf ka mandir milta hai
aaj kahan qazi hi aadil hota hai
KHud se to namrud nahin banta koi
asal mein pura shahar hi babul hota hai
hum ko to hansne ki aadat hai warna
muskanon mein dard bhi shamil hota hai
'haidar' dil mein basne wala hi aksar
dil ke armanon ka qatil hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.