Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab raushni na pa sake mehr-o-qamar se hum

Kashfi Lucknavi

jab raushni na pa sake mehr-o-qamar se hum

Kashfi Lucknavi

MORE BYKashfi Lucknavi

    jab raushnī na sake mehr-o-qamar se ham

    ḳhud be-niyāz ho ga.e shām-o-sahar se ham

    is imtihān meñ bhī hai terā karam sharīk

    hañs kar guzar rahe haiñ rah-e-pur-ḳhatar se ham

    duniyā ko ham dikhā.eñge me.ār-e-bandagī

    qismat banā ke uTTheñge ab tere dar se ham

    jis navāzishoñ pe hai mauqūf zindagī

    kyā hogā gir ga.e agar us nazar se ham

    zinda haiñ to banegā isī phir āshiyāñ

    Darte nahīñ haiñ fitna-e-barq-o-sharar se ham

    duniyā se duur ho ke patā us ga.e

    varna the apne aap se bhī be-ḳhabar se ham

    allāh rakkhe ḳhanda-e-dīvāngī se duur

    haiñ āshnā ma.āl-e-ġham-e-mo'atabar se ham

    'kashfī' banā diyā use ā.īna-e-bahār

    guzre kisī yaad meñ jis rahguzar se ham

    jab raushni na pa sake mehr-o-qamar se hum

    KHud be-niyaz ho gae sham-o-sahar se hum

    is imtihan mein bhi hai tera karam sharik

    hans kar guzar rahe hain rah-e-pur-KHatar se hum

    duniya ko hum dikhaenge mear-e-bandagi

    qismat bana ke uTThenge ab tere dar se hum

    jis ki nawazishon pe hai mauquf zindagi

    kya hoga gir gae agar us ki nazar se hum

    zinda hain to banega isi ja phir aashiyan

    Darte nahin hain fitna-e-barq-o-sharar se hum

    duniya se dur ho ke pata us ka pa gae

    warna the apne aap se bhi be-KHabar se hum

    allah rakkhe KHanda-e-diwangi se dur

    hain aashna maal-e-gham-e-mo'atabar se hum

    'kashfi' bana diya use aaina-e-bahaar

    guzre kisi ki yaad mein jis rahguzar se hum

    Source :
    • Saaz-o-Naghma
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now