jab ruTh jaana aap ka achchha nahin laga
jab ruuTh jaanā aap kā achchhā nahīñ lagā
kyoñ maan jaanā aap kā achchhā nahīñ lagā
miTTī meñ kyoñ milāte haiñ in motiyoñ ko aap
aañsū bahānā aap kā achchhā nahīñ lagā
mahfil se jo nikālā koī baat hī na thī
haañ muskurānā aap kā achchhā nahīñ lagā
har āstāñ pe dekhiye tāzīm ke liye
sar ko jhukānā aap kā achchhā nahīñ lagā
izzat nahīñ baḌoñ kī na chhoToñ se pyaar hai
ham ko zamāna aap kā achchhā nahīñ lagā
go 'ashk' ġhair hī sahī lekin yuuñ bazm se
us ko uThānā aap kā achchhā nahīñ lagā
jab ruTh jaana aap ka achchha nahin laga
kyon man jaana aap ka achchha nahin laga
miTTi mein kyon milate hain in motiyon ko aap
aansu bahana aap ka achchha nahin laga
mahfil se jo nikala koi baat hi na thi
han muskurana aap ka achchha nahin laga
har aastan pe dekhiye tazim ke liye
sar ko jhukana aap ka achchha nahin laga
izzat nahin baDon ki na chhoTon se pyar hai
hum ko zamana aap ka achchha nahin laga
go 'ashk' ghair hi sahi lekin yun bazm se
us ko uThana aap ka achchha nahin laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.