jab samātī hai raat añdhere meñ
un kī hotī hai baat añdhere meñ
un ke aaseb se bache rahnā
jo lagāte haiñ ghaat añdhere meñ
vaqt ne pīchhe mujh ko chhoḌ diyā
rah ga.ī merī zaat añdhere meñ
merī har baat jhuuT par mabnī
jis tarah terī baat añdhere meñ
sab ke sab hī siyāh ho jaa.eñ
rang rakh do jo saat añdhere meñ
zindagī kyā hai ik añdherā hai
ho na jaa.e vafāt añdhere meñ
jaan kyā hogī mere lafzoñ meñ
hai qalam aur davāt añdhere meñ
kyā ujālā bhī de charāġh mujhe
'shoḳh' jab hai hayāt añdhere meñ
jab samati hai raat andhere mein
un ki hoti hai baat andhere mein
un ke aaseb se bache rahna
jo lagate hain ghat andhere mein
waqt ne pichhe mujh ko chhoD diya
rah gai meri zat andhere mein
meri har baat jhuT par mabni
jis tarah teri baat andhere mein
sab ke sab hi siyah ho jaen
rang rakh do jo sat andhere mein
zindagi kya hai ek andhera hai
ho na jae wafat andhere mein
jaan kya hogi mere lafzon mein
hai qalam aur dawat andhere mein
kya ujala bhi de charagh mujhe
'shoKH' jab hai hayat andhere mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.