jab sar-e-sham koi yaad machal jati hai
jab sar-e-shām koī yaad machal jaatī hai
dil ke vīrāne meñ ik sham.a sī jal jaatī hai
jab bhī aatā hai kabhī tark-e-tamannā kā ḳhayāl
le ke ik mauj kahīñ duur nikal jaatī hai
ye hai mai-ḳhāna yahāñ vaqt kā ehsās na kar
gardish-e-vaqt yahāñ jaam meñ Dhal jaatī hai
ḳhvāhish-e-zīst ġham-e-marg ġham-e-sūd-o-ziyāñ
zindagī chand khilaunoñ se bahal jaatī hai
jab vo hañste hue aate haiñ ḳhayāloñ meñ 'kalīm'
shām-e-ġham sub.h-e-masarrat meñ badal jaatī hai
jab sar-e-sham koi yaad machal jati hai
dil ke virane mein ek shama si jal jati hai
jab bhi aata hai kabhi tark-e-tamanna ka KHayal
le ke ek mauj kahin dur nikal jati hai
ye hai mai-KHana yahan waqt ka ehsas na kar
gardish-e-waqt yahan jam mein Dhal jati hai
KHwahish-e-zist gham-e-marg gham-e-sud-o-ziyan
zindagi chand khilaunon se bahal jati hai
jab wo hanste hue aate hain KHayalon mein 'kalim'
sham-e-gham subh-e-masarrat mein badal jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.