jab se aaya hun tere ganw mein
jab se aayā huuñ tere gaañv meñ
rañg hī rañg haiñ fazāoñ meñ
aa ki dukh sukh kī koī baat kareñ
baiTh kar shīshamoñ kī chhāñv meñ
maiñ bhī kartā huuñ zabt kī koshish
to bhī taḳhfīf kar adāoñ meñ
vo tirā daf.atan bichhaḌ jaanā
vo mirā dekhnā ḳhalāoñ meñ
ho agar koī gosh-bar-āvāz
ik ḳhamoshī bhī hai sadāoñ meñ
yahī mere liye ġhanīmat hai
saañs le luuñ khulī fazāoñ meñ
jab se aaya hun tere ganw mein
rang hi rang hain fazaon mein
aa ki dukh sukh ki koi baat karen
baiTh kar shishamon ki chhanw mein
main bhi karta hun zabt ki koshish
to bhi taKHfif kar adaon mein
wo tera dafatan bichhaD jaana
wo mera dekhna KHalaon mein
ho agar koi gosh-bar-awaz
ek KHamoshi bhi hai sadaon mein
yahi mere liye ghanimat hai
sans le lun khuli fazaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.