jab se apne ghar ke baam-o-dar se nikle hain
jab se apne ghar ke bām-o-dar se nikle haiñ
kaise kaise manzar pas-manzar se nikle haiñ
narm zamīñ aur paanī ke muhtāj nahīñ haiñ ham
ham to vo koñpal haiñ jo patthar se nikle haiñ
koī to apne jaisā apne andar hai maujūd
apnī zaat ke bāhar kis ke Dar se nikle haiñ
shor kī chādar ke pīchhe hai ḳhāmoshī kā raqs
sannāTe āvāzoñ ke paikar se nikle haiñ
kis se jañg laḌeñge kis ko fat.h kareñge ham
dushman ke hathiyār ḳhud apne ghar se nikle haiñ
nā-mānūs fazāoñ ko 'ashfāq' na do ilzām
ḳhauf ke jo bhī raste haiñ andar se nikle haiñ
jab se apne ghar ke baam-o-dar se nikle hain
kaise kaise manzar pas-manzar se nikle hain
narm zamin aur pani ke muhtaj nahin hain hum
hum to wo konpal hain jo patthar se nikle hain
koi to apne jaisa apne andar hai maujud
apni zat ke bahar kis ke Dar se nikle hain
shor ki chadar ke pichhe hai KHamoshi ka raqs
sannaTe aawazon ke paikar se nikle hain
kis se jang laDenge kis ko fath karenge hum
dushman ke hathiyar KHud apne ghar se nikle hain
na-manus fazaon ko 'ashfaq' na do ilzam
KHauf ke jo bhi raste hain andar se nikle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.