jab se basa hai dil mein teri dilkashi ka rang
jab se basā hai dil meñ tirī dilkashī kā rang
yak-rang ho gayā hai mirī zindagī kā rang
apnoñ ne bārhā mujhe ġhurbat meñ chhoḌ kar
dekhā hai kis ḳhushī se mirī bebasī kā rang
ḳhud aa.ine meñ dil ke mire jhāñk lījiye
ġhairoñ se pūchhiye na mirī āshiqī kā rang
zulf-e-siyāh raqsāñ hai ruḳhsār-e-yār par
nūr-e-sahar se uljhā hai tīra-shabī kā rang
merī kitāb-e-zīst ko tū dekh ġhaur se
phailā hai har varaq pe tirī dilkashī kā rang
dekhā jo maiñ ne ḳhvāb meñ us but ko be-hijāb
ab tak 'zafar' pe chhāyā hai ik be-ḳhudī kā rang
jab se basa hai dil mein teri dilkashi ka rang
yak-rang ho gaya hai meri zindagi ka rang
apnon ne barha mujhe ghurbat mein chhoD kar
dekha hai kis KHushi se meri bebasi ka rang
KHud aaine mein dil ke mere jhank lijiye
ghairon se puchhiye na meri aashiqi ka rang
zulf-e-siyah raqsan hai ruKHsar-e-yar par
nur-e-sahar se uljha hai tira-shabi ka rang
meri kitab-e-zist ko tu dekh ghaur se
phaila hai har waraq pe teri dilkashi ka rang
dekha jo main ne KHwab mein us but ko be-hijab
ab tak 'zafar' pe chhaya hai ek be-KHudi ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.