jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka
jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka
Miyan dad Khan Sayyah
MORE BYMiyan dad Khan Sayyah
jab se dekhā hai banā gosh-e-qamar meñ tinkā
phāñs kī tarah khaTaktā hai jigar meñ tinkā
neza-bāzī pe hameñ apnī na dhamkā ai turk
ham samajhte haiñ ise apnī nazar meñ tinkā
ātish nāla-e-bulbul ye chaman meñ bhaḌkī
na bachā naam ko sayyād ke ghar meñ tinkā
ḳhār-e-mizhgāñ ko nazar bhar ke na dekhā maiñ ne
paḌ gayā uḌ ke mire dīda-e-tar meñ tinkā
sun ke aamad tirī āñkhoñ se uThā lete haiñ
dekhte haiñ jo paḌā rāhguzar meñ tinkā
gird us bahr-e-safā ke maiñ phirā kartā huuñ
rahtā hai gardī meñ jis tarah bhañvar meñ tinkā
āh-e-sozāñ ne jalā.e tire jangal 'sayyāh'
naam ko bhī na rahā ek shajar meñ tinkā
jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka
phans ki tarah khaTakta hai jigar mein tinka
neza-bazi pe hamein apni na dhamka ai turk
hum samajhte hain ise apni nazar mein tinka
aatish nala-e-bulbul ye chaman mein bhaDki
na bacha nam ko sayyaad ke ghar mein tinka
KHar-e-mizhgan ko nazar bhar ke na dekha main ne
paD gaya uD ke mere dida-e-tar mein tinka
sun ke aamad teri aankhon se uTha lete hain
dekhte hain jo paDa rahguzar mein tinka
gird us bahr-e-safa ke main phira karta hun
rahta hai gardi mein jis tarah bhanwar mein tinka
aah-e-sozan ne jalae tere jangal 'sayyah'
nam ko bhi na raha ek shajar mein tinka
- Book : Miyadad Khan Saiyyah (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.