jab se dilbar ka aastan dekha
jab se dilbar kā āstāñ dekhā
thā jo dushman vo meherbāñ dekhā
jis ne us dar kī ḳhāksārī kī
us gadā ko shah-e-zamāñ dekhā
jab se dekhā maqām-e-vahdat ko
na doī kā kahīñ nishāñ dekhā
kyā kahūñ ishq kā maiñ lutf-o-karam
dil meñ dilbar ko be-gumāñ dekhā
jis ko kahte haiñ sūrat-e-insāñ
lā-makāñ kā vahī makāñ dekhā
kyā haiñ dilbar ke ḳhvāb nāz-o-adā
kahīñ zāhir kahīñ nihāñ dekhā
jab se dilbar ka aastan dekha
tha jo dushman wo meherban dekha
jis ne us dar ki KHaksari ki
us gada ko shah-e-zaman dekha
jab se dekha maqam-e-wahdat ko
na doi ka kahin nishan dekha
kya kahun ishq ka main lutf-o-karam
dil mein dilbar ko be-guman dekha
jis ko kahte hain surat-e-insan
la-makan ka wahi makan dekha
kya hain dilbar ke KHwab naz-o-ada
kahin zahir kahin nihan dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.