jab se gham se meri aashiqi ho gai
jab se ġham se mirī 'āshiqī ho ga.ī
mere marne kī zid multavī ho ga.ī
mujh ko baḌhne se rokā zamāna ne jab
hausle meñ mire puḳhtagī ho ga.ī
baap kā saayā sar se hai jab se uThā
zindagī meñ mire har kamī ho ga.ī
maiñ ne mazlūm ke haq meñ kī pairvī
zālimoñ se mirī dushmanī ho ga.ī
maiñ ne insāf māñgā milī ye sazā
qaid mere liye sarmadī ho ga.ī
jab se gham se meri 'ashiqi ho gai
mere marne ki zid multawi ho gai
mujh ko baDhne se roka zamana ne jab
hausle mein mere puKHtagi ho gai
bap ka saya sar se hai jab se uTha
zindagi mein mere har kami ho gai
main ne mazlum ke haq mein ki pairwi
zalimon se meri dushmani ho gai
main ne insaf manga mili ye saza
qaid mere liye sarmadi ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.