Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se gaya hai wo mera iman-e-zindagi

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

jab se gaya hai wo mera iman-e-zindagi

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

MORE BYGulam Yahya Huzur Azimabadi

    jab se gayā hai vo mirā īmān-e-zindagī

    kāfir ho jis ke dil meñ ho armān-e-zindagī

    hasrat visāl hai gulū-gīr hijr meñ

    varna abhī maiñ phāḌūñ garebān-e-zindagī

    martā jo hijr meñ to na miltā maiñ yaar se

    mujh par 'huzūr' bas ki hai ehsān-e-zindagī

    jab se gaya hai wo mera iman-e-zindagi

    kafir ho jis ke dil mein ho arman-e-zindagi

    hasrat visal ki hai gulu-gir hijr mein

    warna abhi main phaDun gareban-e-zindagi

    marta jo hijr mein to na milta main yar se

    mujh par 'huzur' bas ki hai ehsan-e-zindagi

    Source :
    • Dewan-e-Huzoor (E-Book)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now