jab se gulchin chaman-parast nahin
jab se gulchīñ chaman-parast nahīñ
bār-āvar koī daraḳht nahīñ
ham haiñ sadiyoñ se gosh-bar-āvāz
aaj tak koī bāzgasht nahīñ
ahl-e-gulshan pe kyā nahīñ guzrī
naqsh ye kis ke dil pe sabt nahīñ
lag ga.ī lab pe mohr-e-ḳhāmoshī
garche lahja mirā karaḳht nahīñ
chāñd par log Dālte haiñ kamand
kahiye kyā ye ḳhirad kī jast nahīñ
mai-kade par tilism taarī hai
be-asar un kī chashm-e-mast nahīñ
ahd-e-hāzir hai saḳht pur-āshob
hausla phir bhī merā past nahīñ
kaun pūchhegā tujh ko ai 'sābir'
tū agar maslahat-parast nahīñ
jab se gulchin chaman-parast nahin
bar-awar koi daraKHt nahin
hum hain sadiyon se gosh-bar-awaz
aaj tak koi bazgasht nahin
ahl-e-gulshan pe kya nahin guzri
naqsh ye kis ke dil pe sabt nahin
lag gai lab pe mohr-e-KHamoshi
garche lahja mera karaKHt nahin
chand par log Dalte hain kamand
kahiye kya ye KHirad ki jast nahin
mai-kade par tilism tari hai
be-asar un ki chashm-e-mast nahin
ahd-e-hazir hai saKHt pur-ashob
hausla phir bhi mera past nahin
kaun puchhega tujh ko ai 'sabir'
tu agar maslahat-parast nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.