jab se hasil ho gai hai yar ki yari mujhe
jab se hāsil ho ga.ī hai yaar kī yaarī mujhe
zindagī lagne lagī hai jaan se pyārī mujhe
jab kabhī bhī gher legī koī lāchārī mujhe
phir to jiine bhī na degī merī ḳhuddārī mujhe
har qadam par saath maiñ detā rahā un kā magar
raas kuchh aa.ī na phir bhī ye vafādārī mujhe
jānte to sab hī the tū aadmī achchhā nahīñ
phir bhī to karnī paḌī terī taraf-dārī mujhe
baat sach hai sach kahūñgā har ghaḌī har moḌ par
laakh aa.e zindagī meñ chāhe dushvārī mujhe
rahmat-e-'ālam kī sunnat par 'amal hai is liye
chhū ke bhī jaatī nahīñ hai koī bīmārī mujhe
ab haqārat kī nazar se dekhtī hai zindagī
ḳhud kī nazroñ meñ girā degī ye nādārī mujhe
roz-o-shab maiñ ne lagā.e haiñ usī tā'līm par
tab kahīñ jā kar ye aa.ī hai qalam-kārī mujhe
pesh honā hai ḳhudā ke rū-barū roz-e-jazā
'umr-bhar karnī hai 'tāriq' us kī tayyārī mujhe
jab se hasil ho gai hai yar ki yari mujhe
zindagi lagne lagi hai jaan se pyari mujhe
jab kabhi bhi gher legi koi lachaari mujhe
phir to jine bhi na degi meri KHuddari mujhe
har qadam par sath main deta raha un ka magar
ras kuchh aai na phir bhi ye wafadari mujhe
jaante to sab hi the tu aadmi achchha nahin
phir bhi to karni paDi teri taraf-dari mujhe
baat sach hai sach kahunga har ghaDi har moD par
lakh aae zindagi mein chahe dushwari mujhe
rahmat-e-'alam ki sunnat par 'amal hai is liye
chhu ke bhi jati nahin hai koi bimari mujhe
ab haqarat ki nazar se dekhti hai zindagi
KHud ki nazron mein gira degi ye nadari mujhe
roz-o-shab main ne lagae hain usi ta'lim par
tab kahin ja kar ye aai hai qalam-kari mujhe
pesh hona hai KHuda ke ru-baru roz-e-jaza
'umr-bhar karni hai 'tariq' us ki tayyari mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.