jab se hum badnam bahut hain
jab se ham badnām bahut haiñ
ham se jahāñ ko kaam bahut haiñ
ā.īne meñ kyā kyā dekheñ
ik chehra aur naam bahut haiñ
lā sūraj kirnoñ kī suulī
rātoñ par ilzām bahut haiñ
lenā ho to le lo duā.eñ
durveshoñ ko kaam bahut haiñ
mere jaise log bahut kam
albatta hamnām bahut haiñ
shā.ir kī pahchān na pūchho
gumnāmoñ ke naam bahut haiñ
Dar hai kahīñ pahchān na kho de
ab 'saulat' ke naam bahut haiñ
jab se hum badnam bahut hain
hum se jahan ko kaam bahut hain
aaine mein kya kya dekhen
ek chehra aur nam bahut hain
la suraj kirnon ki suli
raaton par ilzam bahut hain
lena ho to le lo duaen
durweshon ko kaam bahut hain
mere jaise log bahut kam
albatta hamnam bahut hain
shair ki pahchan na puchho
gumnamon ke nam bahut hain
Dar hai kahin pahchan na kho de
ab 'saulat' ke nam bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.