jab se hum chup-chap ghar rahne lage
jab se ham chup-chāp ghar rahne lage
kyā kaheñ dīvār-o-dar kaise lage
ūñche qad vāloñ se kī jab dostī
apne qad ke log hī achchhe lage
mehrbānī vaqt kī hai aur kyā
ham jo kuchh logoñ se ab milne lage
kyā kaheñ ye ho gayā hai kyā hameñ
ḳhud pe ronā thā magar hañsne lage
bolte jaate the jaane kis se kyā
ḳhud ko ab chup-chup se ham kaise lage
qīmtī kapḌoñ ke tājir ho 'sadaf'
kyā magar ḳhud ko kabhī nange lage
jab se hum chup-chap ghar rahne lage
kya kahen diwar-o-dar kaise lage
unche qad walon se ki jab dosti
apne qad ke log hi achchhe lage
mehrbani waqt ki hai aur kya
hum jo kuchh logon se ab milne lage
kya kahen ye ho gaya hai kya hamein
KHud pe rona tha magar hansne lage
bolte jate the jaane kis se kya
KHud ko ab chup-chup se hum kaise lage
qimti kapDon ke tajir ho 'sadaf'
kya magar KHud ko kabhi nange lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.